Lycurgus ka pyala yah ek chamatkarik taknik ka udaharan hai. Yah pyala, Lycurgus - ek purane Thrace (Greece) ka raja, ki asamanya aur pauranik katha darshata hai.
Lycurgus ne devgan Dionysus aur uske anugamiyon ko sataya tha. Un anugamiyon main apsara Ambrosia bhi shamil thi. Unhone Lycargus ko haraya jab Ambrosia ne pruthvi mata se anurodh kiya ki ve usko Lycurgus se bachaye. Ambrosia ek bel main tabdil ho gayi aur usne Lycurgus ko jakad liya jo is pyala ke prushtha bhag pe darshaya hai.
Is uttam rachana main two takniki rahasya hai. Jis tarah se sajavat pyala ke tal se upar tair rahi hai yah pehla rahasya hai. Dhatu ke rachano ke vyatirikt, ye pinjre jaisa pyala jo kanch ke do parto se bana hai, ve do parte sirf do stalo pe milti hai - aur sirf isi wajah se is kalakruti ko ati uttam rachana ka khitab diya ja sakta hai.
Dusra rahasya kanch main hi hai: ye kanch do rang le sakta hai. Iska matlab, pyale ka rang din main hara dikhayi deta hai par jab roshni kanch se hokar gujarti hai, kanch gehra lal rang ka dikhayi deta hai. Is pyale pe kiye gaye vaygyanik abhyas se ye natija nikalta hai ki is kanch main 1% sona aur chandi dhatu hai jis wajah se ye kanch prakashiya hai. Jab roshni sone aur chandi ke anu pe takrake gujarti hai, dusre rangi ka abhas hame hota hai.
Ye ek utkrusta udaharan hai jisme rasaynik vishleshan se purane kalakrutiyon ka rahasya khula hai.
- Coraline Méric
P.S. Taze aur navintam articles ke liye DailyArt Magazine Instagram pe hume follow karna mat bhuliye!